Problem kya hai?
Problem ye hai ki mai engineering kar raha hu..aur kya problem hai..problem ye hai ki engineering student ki life me koi prob na ho to ye university walon ki sabse badi problem hai..!!
Basically har student ki life me ek time aata hai jab usko apni life me kuch adventure krne ka mann krta hai and issi chakkar me wo engineering join kartey hai….
University me sabko pass bhi nahi karate.Aur galti se aap semester pass karke aage badh bhi gye to yeh log naye naye tareeke le aate h maarne ke !
Sala ek subject ke liye mushkil se theory rato to pata chalta hai ki question paper main sare numericals aagaye…abey jab numericals hi dene the paper mein to humse itna ratwaya kyu? .
passing marks hi dene the tumhe toh..itni ghis te to nahi humari kam se kam….
Aur inn sab k baad bhi coordinator ka mann nahi bharta beech beech me saala mazze lene k liye naye naye siyape karwata rehta hai….
kabhi presentation ,kabhi project nd uske upar kabhi quiz aur viva….
Abey chaar saal me itni baar sessionals lete h ki sala apna roll no. to kya ,apni puri batch ka bhi roll no. tak yaad ho jata hai !
Aur inn sab k baad bhi sabse bada syapa summer training!!
Sala aadhi zindagi to semester pass krne me lag jati h aur baaki sessional dene mein !!
Galti se koi company mil jaye to interviewer maarna nahi chodta..!
Engineering kyu choose ki?
Itne back kyu hai ..?
Jawab do..soch kya rahe ho??
Itne back kyu hai ..?
Jawab do..soch kya rahe ho??
Abey ye soch rha hu ki kis ghadi me mene engineering join ki??
Calculator laga lu dimag me??
I’m telling u,a happy engineer is a myth!!
Tujhe kya lagta h ki ghr walo ko pta nhe tha ki engineering krke ldke ke zindgi kharaab ho jaige, nhe unhe pta tha…!!! Wo to tarike nikal rhe the ki shadi tak apne ladke ko virgin kaise rkhe..!! DU or IP mein bhej nhi skte the to engineering mein daal dia apne ladko ko…!! Aaj tak duniya mazaak bnate h engineering community ka gay gay bolkar..!!
SOURCE : The Frustrated Engineer!
No comments:
Post a Comment